skyscraper movie review | Skyscraper full Movie Review | Dwayne Johnson Movies | MovieShuvies


Hi friends hope all is good in the family. Skyscaper waise to 2018 mey
aayi thi par netflix mey abhi release hue. Kuch time pass movies log
aise hi chalte firte dekh lete hai aur unpe deep charcha nahi banti.
Mere ek dost Ajey ko bas yehe janna hai ki yehe movie dekhe ke nahi ke skip kar de. Matlab dekne ka hai ke nahi... ?

So,
I am introducing a "2 minute filmi noodle" where we will have quick
view on the storyline, actors performances, direction and visuals
especially for a hollywood movie. Par aap pehle jaldi sey channel ko
subcribe kar lo.

Chalo shuru karte hai Story lines sey jo ki
bahut simple and predictable. Action hero trouble mey aata hai aur end
mey jeet jaata hai. Dywane Johnsone AKA rock ki movie hai to bahut
aciton hoga... Aisa nahi hai. Thrilling scenes hai with limited actions.
Kuch bhi over the top nahi. Over the top has to bas burning building
sey latakna. Story is about a former FBI leader jiska naam "Will
Sawyer". Apni duty karte karte uski ek tang bhi aadhi kat jati hai. Bhai
ab THE ROCK ko vulnerable dikhna hai to yehe tarika tha warna usko kaun
marega.
He is now a private security consultant, Will Sawyer,
travels with his family to exotic Hong Kong to certify the world's
tallest skyscraper, "the Pearl" jo Zhao ney bahut high techology enabled
banayi hai. Ab Zhao ke dushman yehe building ko jala dete hai just
before the inaugration aur Will ko hi frame kar dete. Musibat double hai
kyuki - WILL ko police pakadna chahti hai aur jalti hue building mey
uski wife aur do bachche bhi hai. To WILL apni family ko kaise bacheyga
aur apne innocense iss matter mey kaise prove karga? Movie dekho answer
ke liye.
Acting wise Rock ki acting convincing hai. Stunts bhi theek
thak hai. Typical fist fight nahi hai. Koi great mission impossible
jaisa visual effect nahi hahi. Par itni lambi building (225 floors) sey
latake hue aadmi ko dekh kar kafi dhuk dhuk lagi rehti hai.
Direction
ok ok hai aur characters ko dhang sey build nahi kiya hai. Saara screen
WILL/ Dywane Johnson mey diya hai.... Jalti hue building sey jujte hue
dikhaya hai. VFX hai bhi to aap notice nahi karte.. wow factor missing
hai.

Herosim sey bhari... Hero ki family hi burning building kyu
fasti hai... poore hongkong mey ek akela WILL building sey family to
nikalne mey lag jata hai... aur koi firemen nahi aate? Why? Fir bolte
hai ki Bollywood filmi hai / dramatic hai?

Skyscrapper mere hisab
sey ek average film hai. Dinner karte karte 1.5 hours mey side mey
chalne do. You will not miss anything while you eat with your family.

See you again with more reviews soon. ha... dont forget to subscribe the channel. bye...


Comments